Friday 15 December 2017

Mere Papa (Gaana)

Jab kabhi meri,
Aankhein bhare toh,
Unhein pochne,
Aa jaate ho.

Neend meri,
Poori na ho toh,
Loree sunaakar,
Sulaa dete ho.

Mujhe kya darr hai,
Aap ho saath jab,
Humse judaa aap,
Huye ho kab?

Saayaa bankar,
Aate ho aap,
Humaari chhaayaa bante ho,
Jab badhta hai taap.

Koi naqal kare humaari,
Toh aapko buraa lagta hai,
Aapke bina yeh safar,
Adhoora lagta hai.

Mere papa hain sabse anek,
Saari khoobiyaan hain unmein,
Har zaroorat poora karte hain,
Bin koi sawaal kiye.

Koi banna chaahe mahaan,
Toh kare unki sahaayata,
Unhein achchi salaahein dekar,
Banaaye usse sabse sayaana.

Haath pakadkar mera,
Chalte hain saath,
Kya kisi aur aadmi mein,
Hogi yeh baat?

Sabko ekta sikhaate hain,
Taaki rahe na koi antar,
Mere papa jaisa hai nahi koi,
Kahoongi yeh baat nirantar.


No comments:

Post a Comment