Saturday 16 December 2017

Beta

Mere ghar aayi,
Chaand ki chaandni,
Roshan kar di usne,
Hum sab ki zindagi.

Uski aawaaz,
Goonjti hai poore ghar mein,
Usse bada kiya hai,
Kuch banne ke liye.

Bade pyaar se ki hai uski dekhbhaal,
Manaaya uska janamdin har saal,
Use nazar na lage kabhi,
Ho uske poore khwaab sabhi.

Woh beti nahi, 'Beta' hai,
Sabhi gharwaalon ki kare rakhwaali,
Laaye khushiyaan har roz,
Aisa lage har roz hai Diwali.

Woh apne khaatir,
Kare kuch na,
Saare sadasyon ke liye,
Hai ek bete jaisa.

Kabhi bhi apne aap ko,
Hone na diya kamzor,
Magar doosron ko,
Sambhaalkar, banaaya unhein kathor.

Yeh hai har bete ki khoobi,
Jo ek beti aasaani se hai nibhaati,
Ghar-kaarobaar, dono hi sambhaale,
Mitaaye parivaar mein saari daraarein.

Mushkilon kaa 'pahaad',
Tod kar rakh de,
Yeh beti nahi, 'beta' hai,
Jo har mushkil ko haste huye jhel le.


 

No comments:

Post a Comment