Friday 15 December 2017

Bachpan

Jab hum maayoos hote hain,
Aise lagta hai ki jaise duniya ke saare dukh-dard humein hi mile hain.
Kuch nahi samajh paate hain jab koi dost,
Samjhaata hai humein ki hum kisliye bane hain.

Subah-shaam fikr mein doobe,
Na has paate hain kabhi.
Koi waqt jo hum dobaara jeena chaahein,
Woh hai bachpan waali zindagi.

Duniya ki kya hai parwaah,
Logon ka kaam hai kehna.
Hum almast hokar chale,
Koi kya kare, isse humein kya karna?

Kuch pal chaahkar bhi laut te nahi,
Kuch din dhalkar bhi dhalte nahi.
Waqt ke saath insaan badal jaata hai,
Woh jaisa chaahta hai, waisa hota hai nahi.

Maangein poori hoti thi saari,
Ek din aisa tha.
Aaj toh saari khwaahisho ko dabaana padta hai,
Khud se karna padta hai samjhautaa.

Apna swaarth bhoolkar,
Ab apno ko hai sambhaalna.
Is reet ke dauraan,
Hum bhool gaye hain khushiyon ko paalna.

Apni zindagi jeeni hai,
Aatma-samarpan karke kya milega.
Yeh duniya kya karegi taareef tumhaari,
Isse toh aata hai sirf chheen na.

Maasoomiyat kahaan kho gayi?,
Woh seekhne ki ichchha dabi hi reh gayi.
Aaj hum maahir ho gaye galatiyon ko dhoondhne mein,
Magar bhool gaye ki ek zamaane mein hum bhi bacche the.

Naachte the hum saawan mein,
Baant te the khushi aur gham ke kisse.
Aaj toh chhuri lekar log khade hain,
Unke baare mein baat karo, toh vaar karte hain.

Kahaan kho gayi pariyon ki kahaani?
Woh raja-rani ke kisse lagte the sachche.
"Happily Ever After", aaj ki taareekh mein,
Lagta hai sirf ek shabd un kitaabon mein. 

No comments:

Post a Comment