Saturday 16 December 2017

Aisa Kyon Hota Hai?

jab kabhi hum,
mushkilon ka saamnaa karte hain,
toh dil mein darr hota hai,
ki kahin hum haar na jaayein.

kuch baatein hum keh nahin paate,
kuch khyaal hum soch nahi paate,
yoon hi zindagi kat jaati hai,
apni zindagi ko hum badal na paaye.

aisa kyon hota hai?
jab hum tanaav mein rehte hain,
humein bure khyaal aate hain,
unhein aane se hum kyon nahi rok paate hain?

kabhi humein majboor kare haalaat,
toh kabhi hum aise haalaat banaate hain,
jahaan humein bin galti kiye usse maanni padti hai,
aur isi kaaran toot te apno se naate hain.

hum kuch thaan lete hain,
har kadam, iss zindagi mein,
magar usse adhoora hi chhodte hain,
kucch baadhaaon ke kaaran.

kyon naa aisa kuch karein?
jisse saari pareshaaniyaan door ho jaaye,
aur sab kare humaaraa aadar,
kaash aisa ban sakte udaahran.

phir bhi mann yeh ghabraata hai,
har ghadi yeh poochtaa hai,
ki duniya mein ajnabee bhi kyon ban jaate hain dushman?
kya kabhi bhi humaaraa saaf naa ho sakegaa mann?

No comments:

Post a Comment