Wednesday 22 June 2016

Yeh Dil Bechaara Itna Kyon Rota Hai?

Iss zindagi mein,
Aate hain hazaaron sapne
Jinhe poora karne ka,
Waqt kahaan hai milta?

Kitne ghaav sehta hai
Phir bhi chup rehta hai.
Tadap-tadap kar sota hai,
Yeh dil bechaara itna kyon rota hai?

Ghaav jiske bharte nahin,
Dukh jiske marte nahin.
Yeh chayn kyon khota hai,
Yeh dil itna kyon rota hai?

Jab karta hai aaraam,
Koi nahin karta usko salaam.
Hone do jo hota hai,
Yeh dil ke liye ek samjhautaa hai.

Kyun rehta hai yeh gumsum,
Nahin soongh paataa hai pushp-kusum.
Phir bhi iklautaa hai,
Yeh dil bechaara itna kyun rota hai?

No comments:

Post a Comment