Wednesday 22 June 2016

Kya Din The Woh

teri yaad
mujhe har dum hai sataati,
tujhe sochkar main,
khayaalon mein kho jaati.

kya din the woh,
jab hum har savere,
zidd karke uthte the,
paathshaala jaane ke liye.

roz wohi uniform,
roz wohi joote,
adhyaapak ke assignments,
roz the milte.

anushaasan aur padhaai,
chalte the ek saath,
isse judaa karna,
nahi tha aasaan.

doston se milna,
unke saath khelna,
ek doosre ke saath milkar khaana khaana,
homework naa karne ke liye bahaana.

pakda pakdi, relay, chor-police,
in sab mein shaamil hona,
phir ek doosre ko,
alag alag naam se cheedna.

milkar janamdin ke liye party dena,
har janamdin par naye kapde lena,
bus mein ghar jaate samay antaakshri khelna,
phir aakar mummy ko saare kisse sunaana.

har ghadi,
kuch naya seekhte the hum,
kavitaaon aur kahaaniyon se,
tha gehraa sambandh.

hum har dum yehi sochte the,
ki ab bade hokar hum in sabse chhutkaara paayenge,
aur khushi se jee lenge,
kam se kam homework se toh chhutkaara paayenge!

waqt ke saath,
humaare badalte the vichaar,
phir aaya woh din,
jab judaa ho gaye saare yaar.

apni manzil ko paane ke liye,
humne apne bachpan ko kiya qurbaan,
phir bhi teri yaad aati hai,
aur saare lamhe ek saath nazar aate hain.

kaash waqt ko hum rewind kar paate,
aaj pataa chala iss zindagi mein kitni hai mushkilein,
isliye apne bachpan ko rangeen banaao,
agar koi khwaahish hoti meri,
toh apna bachpan main phir jeene ke liye maangti.

No comments:

Post a Comment