Wednesday 22 June 2016

JURM


Hum jaane anjaane mein,
Kar dete hain kuch aisa,
Jahaan ho jaata hai humse,
Kaam bahut bura.

Kisi ka katl,
Ya balaatkaar,
Ya chori,
Machaa deta hai hahakaar.

Iss duniya mein,
Har koi maasoom nahin,
Sab kaam ke waqt badal jaate hain,
Aur issi tarah doosron ko sataate hain.

Jab chaahe kiya prayog,
Jab chaahe usse chhoda,
Iss poori duniya mein,
Koi shakhs hai, jisne dil nahin toda?

Jurm karne waale ko sabak sikha kar rahenge hum,
Kisi tarah jurm ko kar denge kum,
Darr kar, chhip jaate hain kaayar,
Magar jinmein hai himmat, woh dete hain logon ko takkar.

Dikha denge logon ko,
Kya cheez hain hum,
Aakhir ek mutthi mein,
Hi to hai sabse zyaada dum!!

No comments:

Post a Comment